
Namak Off Goli On
Aaj ka din sach mein zaberdast tha kyunki mujhe phir se doctor ke royal court mein salam paish karna tha! Do hafte pehle jo dawaiyon ka “jumbo pack” haath mein diya tha, uska grand finale dekhne ka time aa gaya tha. Main clinic ke darwaze par puhnchi ki toh socha tha ke ab thodi si kari dhoop main kharay rehna parayga, par nahi aj tu jadu hogaya Doctor sahiba ne toh seedha red carpet bicha diya ek minute mein “VIP entry” mil gayi! Ek pal ko laga ke shayad “Sabse Himmatwalay Mareez” ka trophy milega, par trophy chhodo, ek nayi duwai ki prescription haath mein aa gaya.
Nurse ne jab mera blood pressure check kiya, uski aankhein aisi chaunki jaise usne bijli ka bill khola ho! Phir doctor sahiba stage par aayi, unhone BP dekha aur aise gardan hilayi jaise mummy ne pakodon mein meetha daal diya ho. Apni woh Oxford-wali degree ka spotlight jalate hue ek hi dialogue maara:
“Namak ko tata karo!”
Main toh soch rahi thi ke bas yahi fatwa hai, ab rihaai mil jayegi. Par nahi, un ka doctor wala superhero mode on ho gaya aur ek nayi goli ka bomb gira diya! Ab meri dawaiyon ka level itna power packed hai ke agar main generator ban jaun, toh poore shehar ko light de sakti hoon woh bhi bina meter ke!
Ab ghar wapas aa gai hoon, ek haath mein dawai ka parcha, doosre haath mein zindagi ka sawaal: namak ko bye-bye bolun ya khane ke maze ko “the end” karun? Yeh doctor sahiba bhi na inkay saamne toh Michelin Star chef bhi chup ho jaye, kyunki inka toh ek hi funda hai: “Namak off, goli on!”

Hahaha zbrdst likha but take care of yourself